Sms / Ghazal

Ijunoon

Phir kisi yad nay shab bhar main jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko

Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko

Dukh tou yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko

Youn tou umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko

Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maut nay payar say pehlu main bithaya mujh ko

Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki aandhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko

Kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko...

Advertisement
· 2 Like · Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal Tags: Payar
 

Latest Posts in sms

Chocolate Ice cream,
Posted by bushra shah
Posted on : Mar 21, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS