Sms / Funny

Unknown

ek dafa Nawaz sharrif America ke daure per jaate hain to wahan sadar clinton unhe batate hain ke ""mai apne vazeron ka imtihan kis tarah leta hoon"" aur clinton, colen powel ko bulata hai aur kehta hai ""bata woh kaun hai jo teri baap ki aulad hai aur teri maa ki bhi aulad hai magar naa tera bhai hai aur naa teri behan hai?"" colen powel kehta hai ""ye to buhat asan sawal hai woh to mai khud hoon"". Nawaz sharrif ye dekh kar buhat khush hote hain aur sochte hain pakistan jaakar mai bhi apne vaziron se imtihan loonga. jab Nawaz sharrif pakistan aate hain to Sartaj Aziz ko bulate hain aur poochte hain ""bata woh kaun hai jo teri baap ki aulad hai aur teri maa ki bhi aulad hai magar naa tera bhai hai aur naa teri behan hai?"" sartaj aziz ye sawal sun kar pareshan hojate hain aur kehte hain ""Sir mujhe 24 hours ka time den ye sawal buhat mushkil hai"" to Nawaz Sharrif kehte hain ke ""chal to purana aadmi hai issliye 24 Hours ka time diya"" ab sartaj aziz ko 23 hours guzar jaane ke baad bhi jawab samajh nahi ata buhat pareshan hote hain ke Nawaz sharrif ko kiya mun dikhaongaa. sartaj aziz india ke vazer-e-difa Goerge Farnandence ko phone karte hain aur kehte hain ke ""buhat barri mushkil mai phans gaya hoon plz meri madad karo iss sawal ka jawab batao ke woh kaun hai jo tumhari baap ki aulad hai aur tumhari maa ki bhi aulad hai magar naa tumhara bhai hai aur naa hi tumhari behan hai?"" G. Fernandence kehte hain ke ""ye to buhat asan sawal hai woh to mai khud hoon"" sartaj aziz barre khush hote hain ke unhe jawab mil gaya bhagte hue Nawaz sharrif ke pass jaate hain aur kehte hain ""Sir jawab mil gaya woh Goerge Farnandence hai"" Nawaz sharrif kehte hain ""jawab galat hai bewaqoof! woh to Colen Powel hai"" hahahahahah

Advertisement
· 1 Like · Apr 17, 2007 at 02:04
Category: funny Tags: Pakistan
 

Latest Posts in sms

Eid Wala Chand - Rajan Batra
Posted by Hindi Music Videos
Posted on : Nov 06, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS