Poetry / Sad

Iqra Raheem

Zikr-e-shab-e-firaq se wahshat usey bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka
Rasta badal ke chalane ki adat usey bhi thi
Us raat dair tak wo raha mahw-e-guftaguu
Masroof main bhi kam tha faraGhat usey bhi thi
Mujh se bichhar ke shehar mein ghul mil gaya wo shaKhs
Halanke shahar bhar se raqabat usey bhi thi
Woh mujh se barh ke zabt ka adi tha jee gaya
Warna har ek sans qayamat usey bhi thi
Sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
Taza rafaqaton ki zaroorat usey bhi thi
Tanha huwa safar mein tu mujh pe khula yeh bhaid
Saye se pyar, dhoop se nafrat usey bhi thi
Mohsin mein ousse keh na saka yun bhi haal-e-dil
Dar pesh aik tazaa musibat usey bhi thi.

Advertisement
· 0 Like · Aug 26, 2018 at 16:08
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Jeans Into A Handbag.
Posted by mehreen ali
Posted on : Oct 18, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS