Poetry / Sad

Ye meri ghazlen ye meri nazmen
Tamam teri hikayaten hain
Ye tazkare tere lutf ke hain
Ye shair teri shikayaten hain
Main sab teri nazar kar raha hun
Ye un zamanon ki sa’aten hain
Jo zindagi ke naiy safar main
Tujhe kissi waqt yaad aain
To aik ik harf ji uthay ga
Pehn ke anfas ki qabain
Udas tanhaoyon ke lamhon
Main naach uthen gi ye apsaraain
Mujhe tere dard ke ilawa bhi
Aur dukh the ye manta hun
Hazar gham the jo zindagi ki
Talash main the ye janta hun
Mujhe khabar thi ke tere aanchal main
Dard ki rait chantta hun
Magar har ik baar tujh ko chu kar
Ye rait rang-e-hina bani hai
Ye zakham gulzar ban gaye hain
Ye aah-e-sozan ghata bani hai
Ye dard moj-e-saba huwa hai
Ye aag dil ki sada bani hai
Aur ab ye sari mata-e-hasti
Ye phool ye zakhm sab tere hain
Ye dukh ke nohay,ye sukh ke naghme
Jo kal mere the wo ab tere hain
Jo teri qurbat teri judai
Main kat gaye roz-o-shab tere hain
Wo tera shaair tera mughanni
Wo jis ki baten ajeeb si theen
Wo jis ke andaz khusarwana the
Aur adaain ajeed si theen
Wo jis ki jeene ki khahishen bhi
Khud us ke naseeb si theen
Na pooch us ka keh wo dewana..
Bohat dinon ka ujar chuka hai
Wo kohkan to nahin tha lekin
Kari chatanon se lar chuka hai
Wo thak chukka tha aur us ka tesha
Ussi ke seenay main garh chuka hai...!

Advertisement
· 1 Like · Sep 06, 2017 at 21:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS