Poetry / Sad

Suraj Bhi Thak Haar Ke Aakhir Doob Gaya Armanon Ka
Koi Madaawa Kar Na Saka Tootey Hoye Insanoon Ka


Khud Gham Ki Tasveer Baney Thay Shehr Ke Hanstey Bastay Laug
Zikr Bhala Ham Kis Se Kartey Dard Bharey Afsanoon Ka


Tark-e-Taalluq Par He Aakhir Ahl-e-Wafa Majboor Hoye!
Kaun Uttha Sakata Tha Kab Tak Baar Terey ehsaanon ka


Jism Ke Ander Ek Basti Hey, Uss Basti Ka Naam Hey Dil
Yeh Basti Veerana Bhi Hey, Shehr Bhi Hey Armanon Ka


Mera Naam Jali Huroof Mein Terey Saamney Aayega
Zikr Teri Mehfil Mein Hoga Jab Bhi Sokhta Jaanon Ka


Toor Diya Hey Mein Piyar Ke Saarey Jhootey Rishtoun Ko
Jab Se Naseer Ho Gaya Hey Khoon Merey Armanoon ka...!

Advertisement
· 1 Like · Sep 10, 2017 at 02:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Raag Salman
Posted by Funny Videos
Posted on : Sep 30, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS