Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Suno Yeh Waqt-E-Rukhsat Hai,Sakoot-E-Safar Tari Hai
Khatam Umron Ka Zar,Baqi Lamhon Ki Raizgari Hai

Suno Aankhain To Gumsum Hain,Dilon Main Aah O Zaari Hai
Suno Ye Zabt Ka Mousam Nahin,Bay Ikhtiari Hai

Suno Ye Aas Ki Dori Utha Lo Hath Say Meray
Mere Hathon Main Kache Dhagon Ki Be Aitbari Hai

Suno Main Khuwab Ab Bhi Dekhti Hoon Dil K Kehne Se
Meri Aankhon Main Ab Bhi Zakhm,Dil Me Be Qarari Hai

Suno Ye Raz Bhi Sun Lo Ke Dil Ka Khel Jitna Tha
Ye Bazi Tum Ne Jiti Hai,Hamesha Hum Ney Hari Hai

Suno Tum Sath Rehte Thay Meri Har Ek Sans Main
Tumhare Naam Karti Hoan Jahan Jitni Guzari Hai

Suno Aankhon Se Parh Lena Wo Sari An Kahi Batain
Koi Pochay To Keh Dena,Bohat Hi Razdari Hai

Suno Palkon Pe Jitne Khuwab The Unko Utha Lena
Meri Aankhon Pe In Ka Bojh Meri Taqat Sey Bhari Hai

Suno Hum Lotne Wale Nahi ,Sab Keh Lo Sun Lo Aaj
Bohat Hi Door Jana He,Barri Lambi Udaari Hai

Suno Ye Waqt-E-Rukhsat Hai,Suno Ye Hurf-E-Aakhir Hai
Suno Ye Dard Hijar Ka Har Eik Hijrat Se Kaari Hai

Advertisement
· 1 Like · Jun 02, 2017 at 01:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

mahir nafsiyat.
Posted by Amin Lakhan
Posted on : Oct 10, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS