Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Sune Wo Dil Ki Sadaa Aisa Silsilaa Bhi Nahi
Mai Uss Se Baat Karon Itnaa Hoslaa Bhi Nahi

Qaid Se Azaad Huwa Panchi To Phir Ur Na Saka
Sazaa Uss Jurm Ki Kaati Ke Jo Kiya Bhi Nahi

Lahoo Lahoo Hai Dastaan, Ashk Ashk Apni Katha
Sunaein Kya! Ke Ab Kehne Ko Kuch Raha Bhi Nahi

Zindagi Ham Ne Tujhe Har Rang Mai Azmaya Hai
Bas, Ke Ab Aur Jeene Ki Dil Mai Tamanna Bhi Nahi

Dil Lahoo, Chaak-E-Jigar , Sookhte Hue Lob-O-Jaan
Maut Kya Maare Gi, Ke Jeeney Ka Gumaan Bhi Nahi

Wo Mangta Hai KASH, Chand Sitaron Ki Chamak
Aur Merey Hath Mai Mitti Ka Ek Diyaa Bhi Nahi..

Advertisement
· 1 Like · Sep 07, 2016 at 11:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Bachpan
Posted by shaheen fatima
Posted on : Nov 07, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS