Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

sufaid saada udaas kaaghaz

qalam ko apny qareeb rakhy

meri tawaja ka muntazir tha

qalam ka shula pakar k mein nay

sufaid saada udaas kaaghaz k saary chehray ko

kalay kalay moheeb lafzon say bher dia tha

sufaid kaaghaz ka dukh mitanay ki justuju mein

sufaid kaaghaz k dukh ko mein nay barha dia tha

so maire lehjay ki wehshaton nay

jo lafz kaaghaz pay rakh diy thay

wo lafz itny taveel thy k

udaas kaaghaz k saary chehry pay cha gay thy

wo dukh jo mein nay sahy muslsal

wo aik kaaghaz pay aa gay thay

Advertisement
· 1 Like · May 10, 2017 at 01:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Car evolution.
Posted by Imran Rashid Malik
Posted on : Jan 02, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS