Poetry / Sad

Uzma Shaheen

Samandar kya karenge qatra-e-shabnam chura laen
Agar mumkin ho zakhm-e-hijr ka marham chura laen
Baharon k chaley janey khizan aney ka dar na ho
Koi aisa muhabbat ka naya mosam chura laen
Khabar ho neend ki paryon na hi khwabon ki devi ko
Tumhen palkon ki doli mein bitha kar hum chura laen
Hamen jazbat k sehra ko bhi sairab karna hai
Kisi tootey huey insan ki chashm-e-nam chura laen
Tumhara sath hai to aik bus apna jeewan kyun
Jahan walon ki sari umr aao hum chura laen
Sada ki muskurahat un k honton pe sajaney ko
Chalo Shahi zara chupkey se un k ghum chura laen

Advertisement
· 0 Like · May 15, 2018 at 15:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Sheesha bar bar bar
Posted by qamar jabbar
Posted on : Oct 22, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS