Poetry / Sad

Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chali jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chali jana,

Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay me
Usay puri tarha se tum bhulado phir chali jana,

Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
Tum aakay ek baar inko sula do phir chali jana,

Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
Jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chali jana,

Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chali jana,

Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
Samaat ko talab hai wo suna do phir chali jana,

Na janay kyu hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-waja aadat churra do phir chali jana,

Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho
Mujhe tum doosra unwan laa do phir chali jana,

Pyar ki koshish, ay Khuda, na jaye raigan
Mujhe es sabr ka kuch phal dila do phir chali jana...!

Advertisement
· 1 Like · Oct 01, 2017 at 11:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Homemade Pet Bed (from a sweater!)
Posted by waqas moti
Posted on : Jul 22, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS