Poetry / Sad

Talab ko ajar na doon, fikar-e-rahguzar na karoon!
Safar main ab ke hawa ko bhi hamsafar na karoon

Ubhartay doobtay sooraj se torr loon rishta
Main sham orh ke so jaon aur sahar na karoon

Ab is se barh ke bhala kya ho ehtiyat-e-wafa
Main tere sheher se guzroon, tujhe khaber na karoon!

Ye meray dard ki daulat, meri maata-e-firaaq
In ansuon ki wazahat main umer bhar na kroon!

Ujaar shab ki khalish ban ke main kho jaoon
Main chandni ki terha khud ko darbadar na karoon!

Wo aik pal ko dikhai to de kaheen Mohsin
Main jan gunwa ke bhi us pal ko mukhtasir na karoon...!

Advertisement
· 1 Like · Sep 04, 2017 at 09:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Sawal-o-Jawab
Posted by Muzammil Shahzad
Posted on : Nov 08, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS