Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Bujhnay lag jain to phr shamaiN jala di jaiN
meri aankhaiN mere dushman ko laga di jaiN

be hunar loog kahaN harf ki sachai kahaN
ab kitabain kisi darya main baha di jain

un ki pehchaan ka dukh jaaN se guzr jata hai
ye shabeehaiN sir e aaina ganwa di jaiN

ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunar
ishq main tohmataiN aaiN to bhula di jaiN

ya to khursheed chamakta rahay peshaani main
ya lakeeraiN mery mathay ki mitta di jaiN

kitni bholi huwi batain hamain aaj us ki Saleem
yaad aai hain to ab us ko bata di jaiN

Advertisement
· 1 Like · May 20, 2017 at 09:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

saib ko mehfooz karnay ke tariqay
Posted by anam lateef
Posted on : Sep 25, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS