Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

ajab junoon-e-musafat main ghar se nikla tha
khabar nahi ke sooraj kidhar se nikla tha

ye kon phir se mujhy raston main choar gaya
abhi abhi to azaab-e-safar se nikla tha

ye teer dil main magar be sabab nahi utra
koi to hurf lub-e-charagar se nikla tha

mein raat toot kar roya to chain se soya
ke dil ka zahar meri chasm-e-tar se nikla tha

wo qais ab jisay majnoo pukarty hen log
meri terha koi deewana ghar se nikla tha

Advertisement
· 1 Like · May 28, 2017 at 10:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Comment.
Posted by shaista Anam
Posted on : Mar 14, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS