Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kuch to ay yaar ilaaj-e-ghum-e-tanhaai ho
Baat itni bhi na baRh jaaye ke ruswaai ho

Doobne wale to ankhon se bhi kab nikle hain
Doobne k leay lazim nahen gehraai ho

Jis ne bhi mujh ko tamasha sa bana rakha hay
Ab zaroori hai wohi shakhs tamashaai ho

Main tujhe jeet bhi tohfe may nahi de sakta
Chaahata ye bhi nahi hoon tare paspai ho

Aaj to bazm may har aankh thi purnum jaise
Daastaan meri kisi ne yahaan dohrai ho

Koi anjaan na ho shehr-e-mohabbat ka makeen
Kaash har dil ki har ik dil se shanasaai ho

Yoon guzar jaata hay Imran teray kooche se
Tera waaqif na ho jaise koi saudai ho

Advertisement
· 1 Like · Nov 12, 2016 at 12:11
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Jis ne Namaz Chor Di
Posted by Muzammil Shahzad
Posted on : Nov 21, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS