Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Thehro
kisi bhi more ka aglay parao par ,
juda he hum ko hona hai
tou aao phir
yahin apnay asason ko alag alag kar lein
yeh jitnay zakhm dil par hain ,
idhar meri taraf kar dou
keh tum aksar yeh kehtay thay ,
yeh sab meri badolat hain
tou phir yeh zakhm mairay hain , mujahe day dou
zara daikho
yahan kuch khawab bhi hongay ,
jo mil kar hum nay daikhe thay ,
unhain taqseem karna hai
so yun kar lo
suhane khawab tum rakh lo ,
adhooray sab mujahe day dou
keh meri yun bhi aadat hai ,
mujahe tooti hui cheezon say ik bay naam raghbat hai so aadhe khawab tum rakh lo ,
yeh aadhe khawab mairay hain
chalo taqseem ka qissa yahin ab khatam kartay hain magar thehro ,
yahin thehro
yahan tum say mujahe ik baat kehna hai ,
mujahe ik ehad lena hai
kisi bhi more ya aglay parao par ,
nah mur kay dekhna mujh ko
keh mur kar dekhnay say ehad kamzor partay hain , iraday toot jatay hain
sabar kay jaam hathon say palon mein jhoot jatay hain
bohat nuqsaan hota hai
tum yeh nuqsaan mat karna
khayali iss kahani mein haqeeqi rang mat bharna

Advertisement
· 2 Like · Mar 26, 2016 at 05:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Creative People
Posted by Abdul Kareem
Posted on : Jan 14, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS