Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

kabhi jo mujh ko talaash karna
tou chaand raton ki chandni mein
gul e chaman say sawal karna
udas kiyon ho?
kiyon oas qatron mein apnay ansoo
chupaa rahay ho
haseen mousam mein kis ki yaadion mein
apnay dil ko jala rahay ho
gul e chaman yeh sawal sun kar
tumhari aamad ka haal sun kar
kahe ga tum jis ko khojte ho
woh in baharon ki saari khushbu
chura kay ab ik naye chaman mein
mehak raha hai
udas kar kay yahan peh hum ko
kisi chaman mein chehak raha hai
gul e chaman ka yeh haal sun kar
tumhein lagey ga mein bay wafa hon
udas kaliyon ko chhor kar mein
nai baharon ko dhoondata hon
magar haqeeqat mein iss chaman kay
tamam phoolon ki khawahishon ka
aur in ki nakaam kawishon ka
haseen mousam ki baarisho ka
nah mairay dil par asar howa tha
nah mairay dil par asar howa hai
mein aaj bhi ik naye chaman mein
purane qsse suna raha hon
jo meri chahat ka dewta tha
mein aaj bhi uss ko poojta hon
yqin nahi tou palat kay daikho
wahin khara tha , wahin khara hon

Advertisement
· 1 Like · Mar 21, 2016 at 07:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

The Great Pyramids, Egypt
Posted by iJunoon
Posted on : Feb 26, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS