Poetry / Sad

jamay gi kaisay bisaat-e-yaraan ke sheesha o jaam bujh gaye hain
sajay gi kaisay shab-e-nigaran ke dil sar-e-shaam bujh gaye hain
wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh e rukh na shaam e wada
kiran koi arzoo ki laao ke sub dar o baam bujh gaye hain
buhat sambhala wafa ka paimaan, magar wo barsi hai ab kay burkha
har aik iqraar mit gaya hai, tamam paigham bujh gaey hain
qareeb aa ay mah e shab e gham, nazar pay khulta nahin kuch es dum
ke dil pay kis kis ka naqsh baqi hai, kaun say naam bujh gaye hain
bahar ab a kr kaya karay ge ke jin say thi jashn rang o naghma
wo gul sar-e-shakh jal gaye hain, wo dil tah-e-daam bujh gaye hain

Advertisement
·
1 Like ·
Jun 24, 2017 at 15:06
Category: sad
Latest Posts in poetry
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on 276 Days Ago
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on 279 Days Ago
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on 285 Days Ago
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on 290 Days Ago
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on 301 Days Ago
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on 303 Days Ago
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on 312 Days Ago
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on 313 Days Ago
- kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaaPosted by : Abdul Rehman Rehman on 314 Days Ago
- JudaiPosted by : on 324 Days Ago
Sponored Video