Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Es karri dhoop mein jalty hue paaon ki tarha
Tu kisi or k aangan mein hai chaon ki tarha

Tu to waqif hai mere jazbon ki sachaai se
Phir kion khaamosh hai pather k khudaon ki tarha

Main to khusbu ki tarha saath raha hun tere
Tu bhatakta raha be chain hawaon ki tarha

Wo jo barbad hue thay wohi badnam hue hein
Tu to masoom raha apni adaaon ki tarha

Gham to ye hai k humein koi khushi raas nahi
Zindagi kaat rahy hein hum sazaon ki tarha




Advertisement
· 3 Like · Feb 20, 2017 at 01:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Incredible India 2013 (Director's Cut)
Posted by Video Ads
Posted on : Jun 08, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS