Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

dasht o darya se guzrna ho k ghar me rehna
abb to har haal me he hamko safar me rehna

shehr e gham dekh teri aab o hawa khushk na ho
uski aadat hi samajh deeda e tarr mai rehna

faisley saarey usi k hen tumhari baabat
ikhtiar apna bus itna k khabar me rehna

koi khatir na madaraat na taqreeb e wisal
ham faqat chahte hain uski nazar me rehna

raat bhar chand mein dekha karoon uski soorat
subho koi or hi soda merey sar me rehna

wahi tanhai wahi dhoop wahi sannata
ghar me rehna bhi huwa raah guzar me rehna

tutna yoon to muqaddar he magar kuchh lamhey
phool ki tarha muyassar ho shajar me rehna

Advertisement
· 1 Like · Feb 09, 2017 at 17:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Bed Sheet Challenge
Posted by Funny Videos
Posted on : Dec 25, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS