Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Chalo Choro
Muhabbat Jhoot Hai
Aihd-e-Wafa Ik Shugal hai Bey'kar Logoun Ka
"Talaab" Sukhey Huey patoun ka Bey Ronaq Jazeera Hai,
"khalish" Deemak Zada Uraaq Per Boseeda Satroun ka Zakhera Hai,
"khumar-e-Wasal" Tapti Dhoop key Senay Pey Urtey Badaloun ki Raegan Bak'shish Hai
"Ghubar-e-Hijrr" Sehra Mey Saraboun Sey Attey mosaam ka khamyaza!

Chalo Choroo,

key Abb Mey Andheroun ki Damakh Mey Sanss ki Manzil Pey
Chahat ki Bina Rakh ker Safar kerta Rahun Ga,
Mujhey Ahsaas Hi kab Thaa

key Tum Bhi Mosamoun key Sath Apnay Pearhan key Rang Badlo Ge!

Chalo Choro,

Mera Hona Na Hona Ik Barabar Hai
Tum Apnay khado'khal ko Ainey Mey Phir Nikharney Do'
Tum Apni Ankh ki Basti Mey Phir Sey Ik Naya Mosaam Utarney Do!

"Meray khuwaboun ko Marney Do"
Naee Tasveer Dekhoo

Phir Naya Maktoob Likhoo
Phir Naye Mosaam' Naye Lafzoun Sey Apna Silsila Joroo'
Meray mazi ki Chahat Raigaan Samjhoo

Meri Yadoun Sey Kachey Rabtey Toro!

Chalo choro!
Mohabbat Jhoot Hai'
Aihd-e-Wafa Ik Shugal Hai Bey'kar Logoun Ka,

Advertisement
· 2 Like · Apr 21, 2016 at 03:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Aksar Log Inkar se Baaz Nahi Aatay
Posted by Muzammil Shahzad
Posted on : May 24, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS