Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Behain Ashk kyun tUmharey Inhen Rok Lo Khudara
mUjhay Dukh QabOol Sarey Ye Sitam Nahi Gawara

Ho Kisi K tum Sarapa Magar Aah! Kya Karon Main
Meri rooh Bhi tumhari, Mera Jism Bhi tumhara

Main Gham e Alam Ki mOujOn Se Ulajh Raha hun tanha
mujhay Aa K Do Sahara, mujhay Thaam Lo Khudara

Meri Dil Shikastagi Par mUjhay Gharq e Gham Smajh Kar
Wo Jo aik AarzOo Thi, wO bhi Kar Gai Kinara

MUjhay Izn e Marg Dey Kar Wo Ufaq Pe Chand dooba
Woh Mera NaSeeb Ley Kar, koi bujh Gaya Sitara

HAi mUjhay Talaash Us Ki Jo Kabhi Ka Kho Chuka hay
mUjhay justujo Ka Kar Ke, Kahen dOor Sey Ishara

mUjhey Choar Kar Gye Ho, Mera Sabr Aazmaney
To Suno K Ab Nahi hAi, mUjhey Zabt e Gham Ka Yara

Advertisement
· 2 Like · Apr 26, 2017 at 22:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Ashiqui 420
Posted by minu malik
Posted on : Aug 17, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS