Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

wo be-irada sahi , titliyon mein rehta hai,,
k mera dil to meri muthiyon mein rehta hai
mein apnay hath say dil ka gala daba doo gi
mery khilaaf yahi saazishon mein rehta hai..
uraan jis ki hamesha say jaarehana rahi
wo aaj meri tarah be-paron mein rehta hai

Alao ban k December ki sard raaton mein
tera khyaal mery taaqchon mein rehta hai.
bacha k khud ko guzarna mohaal lagta hai
tamam shahr mery raaston mein rehta hai
meri kitaab-e-mouhabbat mein uss ka zikr nahi
Wo khush khayal ghalat fehmiyon mein rehta hai

Advertisement
· 1 Like · Mar 09, 2016 at 20:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Shahid Afridi with Atif Aslam
Posted by sadaf zeeshan
Posted on : Jun 23, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS