Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

To ne aik roz kaha tha mujh se
Door tujh se mai agar ho jaaoon
Jaal duniya ka hai rangeen-o-haseen
Us ke rangon mai agar kho jaaoon
Teri masoom si un baaton ko
Shokh o saada si teri yaadon ko
Bhool jaaoon bhi to ye yaad rahe
Aaj tujh se ye mera waada hai
Jab bhi barsaat tere aangan mai
Pyaar se aan ke dastak de gi
Mai ussi roz challa aaoon ga
Aaj mai soch rahi hoon kab se
Kya hui baat ke to aaya nahi
Jab ke barsaat to kal aa ke mere
Kache aangan mai rahi hai shab bhar

Advertisement
· 2 Like · Oct 24, 2016 at 15:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

3 insaan 3 cheezon se mehroom rehta hai
Posted by alishba khan
Posted on : Jul 17, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS