Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Baazahir aam lehjay main
Kaha thamain ne jab us se
Badal lo raasta apna
Juda raahain yaheen karlo
Hamaray chahnay na chahnay se
Kuch nahi hota
Yehi sach hai keh hum do mukhtalif
Raston kay raahi hain
To phir kyon dil ki manain hum
Shuru main manti hoon main
Aziyyat dil ko pohanchay gi
Magar phir waqt guzray ga
Sabhi zakhmon ko bhar de ga
Meray is aam say lehjay peh wo
Ik pal ko chonka tha
Meri aankhon main aankhain daal kar
Hairat se poocha tha
Yeh sab jo keh rahi ho khud ko yeh samjha bhi pao gi?
Bohat hi jee karra kar ke
Main us dam muskurai thi
Bohat khud pay jabr kar ke
Main us say keh yeh payi thi
Meri tum fikr rehnay do
Sambhal jaoon gi main khud hi
Sabhi zakhmon ko sii loon gi
Bhula kar sari batoon ko
Akaili bhi main jee loon gi
Buhat hi be yaqeen aakhoon se
Us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya
Aur ab tark-e-taalluq ko
Agarcheh umar beeti hai
Magar is dil pe us ki zaat ka
Jo naqsh qaaim tha
Kabhi dhundla nahi hota
Mujhay mehsoos hota hai
Ke jaisay meray kanoon main
Wo apni bolti aankhoon se
Sargoshi si karta hai
WO SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?

Advertisement
· 1 Like · Mar 01, 2018 at 08:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Bad Girl - Official Teaser
Posted by Hindi Music Videos
Posted on : Nov 16, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS