Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

dil mera soz e nihaan se be-muhaaba jal gaya
aatish e khaamosh ki maanind goya jal gaya
dil mein zouq e vasl o yaad e yaar tak baaqi nahin
aag is ghar mein lagi aisi ke jo tha jal gaya
main adam se bhi paray hoon verna ghaafil! baarha
meri aah e aatsheen se baal e anqa jal gaya
arz keejay johar e andesha ki garmi kahaan!
kuch khyaal aaya tha vehshat ka ke sehra jal gaya
dil nahin, tujh ko dikhaata verna, daaghon ki bahaar
is chiraaghaan ka, karoon kya, kaarfarma jal gaya
main hoon aur afsurdagi ki aarzoo, ghalib! keh dil
dekh kar tarz e tapaak e ehl e duniya jal gaya

Advertisement
· 2 Like · Jan 13, 2018 at 02:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS