Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Khuda ne donon alam jub banaye
anokhe her taraf jalwey dikhaye
zameen-o-Aasmaan is main basaye
falak per kehkashan, tarey sajaye
chaman main nit naye sabzay ugaye
Khuda ne donon alam jub banaye

Bana ker us ne phir roye zameen per
janab hazrat-e-insaan ko bheja
khuda ka jis main sub ne aks dekha
jahan main khushbuon ko phir bakhera
andhera aur kahein roshan sawera !
gharaz her shey ko jub us ne bana ker
hamarey wastey duniya saja ker
khud apni ghour se takhleeq dekhi
phir us ne ek nai tasweer khenchi

woh aisi soch wala shaan wala
jahan main sub se ounchi aan wala
na mit pai jub us ki tashnagi phir
kahein mahsoos kerli ek kami phir
to Us ne chader-e-rahmat ko bun ker
hazaron chahaton ke phool chun ker
gulon se shabnam pakeeza le ker
dhanak ke khubsurat rung de ker
mohobat ke samander ko sameta
duaon ka khazana is main bher ker
taqaddus se hasein chehra banaya
ke jis ke her taraf ek noor chaya
ke jis ki ankhon main ansoo bhare they
ke jis ki palkhon pe sapney sajey they
umeed-e-subh roshan ki chamak thi
sitaron or charaghon ki damak thi
ke jis k honton peh larzaan kahein per
yaqeenan us samey koi sada thee
bohat masoom si koi dua thee

khuda ne lamhey bher ko phir se soucha!
aur apni is anokhi shey ko dekha
bohat hi naik pal aur saaton se
zameen-o-Aasmaan ki vusaton se
naye jazbon, anokhi chahaton se
hazaron naimaton aur rahmaton se
nai takhleeq ke seenay main us ne
umangon se bhara ek dil banaya
farishton ne bayak awaz mil ker
mohobat ka anokha geet gaya
khuda bhi dosto phir muskuraya

dur-e-khursheed se pehli kiran li!
aur us main chaand ki thandak bhi rakh di
phir us ne hosley,himmat bhi de ker
khuloos-o-rahmat-o-rahat bhi de ker
ebadat,barkat-o-azmat bhi de ker
mohobat,dard aur khidmat bhi de ker
kai jharnon ke behtey paniyun se
kai jazbon se aur qurbanion se
gharaz her rung se amaiz ker ke
her ek dolut se yun labraiz ker ke
bana ker jab sarapa yeh sajaya
aur ek alam ko jub us ne dekhaya
sub hi ne maan li us ki khudai
khuda ko apni ye takhleeq bhai
karam ki dil main phir chadar bichai
aur us main her taraf mamta sajai
phir un qadmon main ek jannat basai
khuda ne tab kahein ek MAA banai

khuda ne tab kahein ek MAA banai

Advertisement
· 1 Like · Jan 31, 2015 at 08:01
Category: relegious
 

Latest Posts in poetry

Husky Dog Sings with iPAD
Posted by Interesting Videos
Posted on : Dec 24, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS