Poetry / Political

Muzammil Shahzad

chehra badla ، qirdar wohi hai
hum peh qabiz ghaddar wohi hai

kufr kay haath bakka hai jo bhi
qabeelay ka apnay sardar wohi hai

dehshat gardee ki jaari jung hai
beopari badla ، beopaar wohi hai

wohi hain maslay jo darpaish thay phley
dariya badla ، manjhdhar wohi hai

apnon ko beech rahay hain apnay
yousaf nahi hai ، bazaar wohi hai

Advertisement
· 1 Like · Jan 11, 2015 at 04:01
Category: political
 

Latest Posts in poetry

Triceratops horridus skeleton
Posted by iJunoon
Posted on : Feb 14, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS