Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

woh Lamhay............
Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy hain !

December K mahenay main
Hazaroon Saal Pahlay Jab

Teray Waday K Hathoon Ne
meri Ankhoon Say Behtee Zindagi K Haath Choomay Thay !

meri Bayrang Batoon K Kinaray
Tum Nay Kwabon K
Sahary or Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay !

aur .......
Hawa Ko apni Chahat Ki
Hifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa !

Hawa Ki Khunkiyon main ab Bhi Teri naram batain
aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian !

Samaat ....ab Bhee Teray
Qahqahon Kaa Shoor Sunti Hay !

Khayal ab Tak Tumhari Ungliyon Say
meray Dil K Surkh Ansoo Ponchta Hay!

Nigahain Baraf K Phelay
chamaktay Kenwas Par Jaa Bajaa
Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay !

Thathartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop
Teray Bagair rooti Hay
Kahan Hota Hay Tou.......
Muhabat Ki Sulagtei rahguzar K Kinaray Pay

December ....
ab Bhe Tera muntazir Hay !!

Advertisement
· 1 Like · Nov 02, 2015 at 04:11
Category: occassional-events
 

Latest Posts in poetry

Zindagi ka Falsafa
Posted by farhan bilal
Posted on : Nov 04, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS