Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Aakhree Chand Din December K
Har Baras Hi Giraa Guzartay Hain
Khwahishoon Kay Nigaarkhanay Mein
Kaisay Kaisay Gumaan Guzartay Hain
Raftagaan Kay Bikhartay Saalon Ki
Aik Mehfil Si Dil May Sajti Hai
Phone Ki Diary K Safhoon Say
Kitnay Number Pukartay Hain Mujhe
Jin Say Murboot Benawa Ghantee
Ab Faqut Meray Dil May Bajti Hai
Kis Qadar Pyaray Pyaray Naamoon Per
Raingtee Budnuma Lakeerain C
Meri Aankhoon Main Phail Jaatee Hain
Doorian Daairay Banati Hain
Hur December Kay Aakhree Din Mein
Hur Baras Ki Tarha Say Ab Kay Bhi
Diary Ik Sawal Kerti Hay
Kiya Khaber Is Baras K Aakhir Main
Meray In Bechirag Safhoon Say
Kitnay Hi Naam Kut Gaiy Ho Gain
Hur December Mein Sochta Hoon Main
Aik Din Is Tarha Bhi Hona Hai
Rang Ko Roshni Mein Khona Hai

Advertisement
· 1 Like · Nov 16, 2015 at 05:11
Category: occassional-events
 

Latest Posts in poetry

The Titanic
Posted by faisal razzaq
Posted on : Sep 14, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS