Poetry / Love

Yun zindzgi ki rah main takra gaya koy

Ek roshni andhere main bikhra gaya k

Wo haadsa woh pahli mulaqat kya kaho

Kitni ajab thi surat_e_ halaat kiya kahon

Woh kehir woh gazabWoh jafa muj ko yaad hay

Woh us ki berukhi ki ada muj ko yaad hay

Mitta naheen hay zahen se koy yun chaa gaya koy

Pahle woh muj ko dekh kar barham si ho gayi

Phir apne hi haseen khayaloon main kho gayi

Bechargi peh meri usse rahem a gaya

Shayad mere tarapne ka andaaz bhaa gaya

Saansoon se bhi kareeb mere a gaya koy

Ab is dil_e_tabah ki hallat na pouchiye

Bey naam aarzo ki lazat na pouchiye

Ek ajnabi tha rouh ka aarman ban gaya

Ek haadsa tha pyar ka unwaan ban gaya

Manzil ka raasta mujhye dekhla gaya koy

Advertisement
· 1 Like · Oct 21, 2014 at 06:10
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS