Poetry / Love

Yeh pichlay ishq ki baatein hein
jab aankh mein khwaab damaktay thay
jab dil mein daagh chamaktay thay
jab palkein sheher ke raston main
ashkon ka noor lutati thein
jab saansein ujlay chehron k
tan-man mein phool sajati thein
sochon mein bhanwar parr jaatay thay
jab aik talatum rehta tha

apnay beant khayalon mein
har ehad nibhanay ki qasmain
khat khoon se likhnay ki rasmain
jab aam thein hum dil walon mein
ab apni ujri aankhon mein
jitni roshan si raatein hein
us umer ki sab soughatain hein
jis umer ke khwaab khayaal huye
woh pichli umer thi beet gai
woh umer beetay saal huye

ab apni deed ke rastay mein
kuch rang hai guzray lamhon ka
kuch ashk ki baratain hein
kuch bhoolay bisray chehray hein
kuch yaadon ki barsaatein hein
yeh sab pichlay ishq ki baatein hein

Advertisement
· 1 Like · Jun 20, 2017 at 07:06
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Propellers of The Titanic
Posted by iJunoon
Posted on : Jul 02, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS