Poetry / Love

Naveed Shehzad

wisaal-o-hijr me
ya khwab se mahroom aankhon me
kisi aehd-e-rifaqat me
ke tanhai ke jangal me
khyal-e-khal-o-khad ki roshani ke gahre baadal me
chamkti dhoop me ya phir
kisi be abr saye me
kahin baarish me bhige jism-o-jaan ke nasrparon me
kahin hoton pe shairon ki mahaktie aabsharon me
chiraghon se saji shaamon me
ya benoor raaton me
sahr ho runuma jaise kahin baaton hi baaton me
koi lipta hua ho jis tarah
sandal ki khushboo me
kahin pe titliyon ke rang tasweeren bana te hon
kahin pe jugnuon ki muthiyon me roshani khud ko chupati ho
kahin kaisa hi manzar ho
kahin kaisa hi mausam ho
tere saare hawaley ho
teri saari misalon ko
muhabbat yaad rakhti hai

Advertisement
· 1 Like · Nov 19, 2018 at 04:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Balon K liye Mufeed Nuskhay
Posted by rumana shahzad
Posted on : Dec 05, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS