Poetry / Love

Ghazal Noor

us ka apna hi karishma hai fasoon hai yun hai
yun to kehne ko sabhi kehtay hain yun hai yun hai

jaisay koi darr e dil per ho stadah kab se,
aik saya na daroon hai na baaroon hai yun hai

tum ne dekhi hi nahin ab ke gulsitan may bahhar
ab to her khaar pe ik qatra e khoon hai yun hai

tum mohabbat main kahan sood o zyaan le aaye
ishq ka naam khiirad hai na junoon hai yun hai

ab tum aaye ho meri jaan tamasha karne
ab to darya main talatum na sukoon hai yun hai

naseha tujh ko khaber kya k mohabbat kya hai
roz aa jata hai samjhata hai yun hai yun hai

shairy tazah zamanoon ki hai maimaar FARAZ!
ye bhi ik silsilay e kun fa yakoon hai yun hai

Advertisement
· 1 Like · Dec 23, 2016 at 02:12
Category: love
 

Latest Posts in poetry

qadar karni hai to zindagi mein karo
Posted by Mohammad Iqbal
Posted on : Mar 17, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS