Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kisay Khaber Hay Kahan Milain Gay
Damaktay Chehray Chamakti Aankhin
Samaatain Dhoondti Rahain Gee
Shugufta Lahjay Zaheen Aankhin

Yeahi Hay Rasm-E-Jahan Azeezo
K Chand Lamhoun Ko Hum Safar Ho
Na Phir Tumhari Hamain Khaber Ho
Na Phir Hamari Hamain Khaber Ho

Jo Youn Basar Ho To Koun Baser Ho
K Sar Pe Yaadoun Ka Ik Shajar Ho
Yeahi Shajar Go Ya Apna Ghar Ho
Yaheen Pe Shab Ho Yaheen Sahar Ho

Wo Shookh Zinda Diloun Ki Basti
Shareer Larkoon Ki Aik Toli
Wo Larkiyoun Ka Haseen Jumghat
Or Un Main Sab Say Numaya Larki

Jo Dil Main Yaksar Uter Gai Thi
Hiyaat Jasay Sawar Gai Thi
Kaha Tassavur Main Jis Ko Dulhan
Wo Khwab Main Rang Bhar Gai Thi

Bas Ik Tassadum Kay Baad Baahum
Qareeb Aatay Ga Ey Thay Hum Tum
Humain Khaber Hi Nahi Thi Humdum
Hamara Qissa Hay Qissa-E- Ghum

Jisay Muhabat Samajh Rahay Thay
Jisay Haqeeqat Samajh Rahay Thay
Wo Aik Waqti Si Doosti Thi
Jisay Rafaqat Samajh Rahay Thay



Magar Ye Sari Khyaali Baatain
Udass Batain Wabali Batain
Jahan Bhi Jaaoo Gi Khush Rahoo Ge
Hamara Kia Hay Banali Baatain

Hamari Baatoun Ki Baat Hi Kia
Jo Naarsa Ho Wo Haath Hi Kia
Hamara Sanjog Lamhay Bhar Ka
Jo Chott Jaaey Wo Saath Hi Kia

Chaloo K Sab Loog Muntazir Hain
Tumharay Maathay Sajaaen Teeka
Zara Hatheli Pe Ik Nazar Ho
Chamak Rahi Hay Aroos Rekha

Kabhi Hamara Khyaal Aaey
To Zair-E-Lab Naam Gungunana
Ajeeb Tha Wo Yea Dil Main Kahna
Or Aap Hi Aap Muskurana

Advertisement
· 1 Like · Aug 23, 2016 at 12:08
Category: love
 

Latest Posts in poetry

shampoo khatam
Posted by hina raheel
Posted on : Jan 24, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS