Poetry / Love

Neele neele amber par

Chaand jab aye pyaar barsaye

Hum ko tarsaye

asa koy sathi ho asa koy premi ho

Piyaas dil ki bujha jaye



Unche unche parbat

Jab chumte hain amber ko

Piyasa piyasa amber

Jab chumta hay sagar ko

Pyaar se kasne ko

Bahoon main basne ko

Dil mera lalchaye

Koy to a jaye

Asa koy sathi ho asa koy premi ho

Piyaas dil ki bujha jaye



Thande thande jhonke

Jab baloon ko sehlayeen

Tapti tapti kirneen

Jab galoon ko chu jayeen

Sanson ki garmi ko

Hathon ki narmi ko

Mera mann tarsaye

Koy to chu jaye

Asa koy sathi ho asa koy premi ho

Piyaas dil ki bujha jaye



Cham cham karta sawan

Boondon k baan chalaye

Satrangi barsaton main

Jab tan man bhiga jaye

Pyaar main nahane ko

Duub hi jane ko

Dil mera tarpaye

Khuwab jaga jaye

Asa koy sathi ho asa koy premi ho

Piyaas dil ki bujha jaye

Neele neele amber par

Advertisement
· 1 Like · Apr 06, 2015 at 17:04
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Musibaton par Sabar
Posted by farooq ahmed
Posted on : Nov 27, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS