Poetry / Love
Muzammil Shahzad

Naam le le ker na mera shehar ki nazron mein aa
mujh se milna hai to mere dil ke sehraon mein aa
us safar mein dekh ghul jaata hai mitti ka badan
mujh se milne ki na khuwahish ker na barsaton mein aa
log tujh ko gungunayein meri khuwahish ki tarah
ik achhote shehar ki soorat meri gazal mein aa
be hunar logon ne phir maanga mere fun ka saboot
aa meri sachayi ki khushbu mere lafzon mein aa
ghar ke darwaze pe aakar kion qadam rakhne lage
aa meri tanhayi, meri muntazir bahon mein aa

Advertisement
·
1 Like ·
Apr 28, 2017 at 01:04
Category: love
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on 80 Days Ago
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on 81 Days Ago
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on 81 Days Ago

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on 81 Days Ago
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on 81 Days Ago
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on 81 Days Ago
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on 81 Days Ago
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on 81 Days Ago
Sponored Video