Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Meri har ghazal ko yeh arzoo, karey aisey ko terey ru-ba-ru
Jo terey hi jaisa ho sar-ba-sar, jo tujhi sey milta ho hu-ba-hu

Woh chaman-parast bhi haiN yahaN, jinheiN aaj tak na khabar hui
Key GuloN ki jis sey hai parwarish, raG-e-KHaar meiN hai wohi lahoo

Hui KHatm sohbat-e-maikashi, yehi daaGh seenoN meiN reh gaya
Key tuloo’a honey sey gaye, kayi aftaab-e-KHum-o-sabuu

Kayi lakh phooloN key pair-han sar-e-baaGh haNs key uRaa diye
Zahe fasl-e-Gul, woh hawa chali key chaman ki le uRRi abroo

Tujhey paa key khudh ko bhi paooN ga key tujhi meiN khoya hua hooN maiN
Yeh teri talaash hai is liye key khudh apni hai justujoo

Hui wardaat-e-sehar yahaN, to GuloN key seeney dhaRak gaye
Woh chali key teGH-e-naseem ne, kayi haath uchaal diya lahoo

Wohi aaNkh jaam-e-mai-e-hayaa, wohi aaNkh jaam-e-jahaaN-numaa
Jo nigaah uThti na thi kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo

Na yeh bhed husn ka khul sakaa, na bharan yeh ishq ka miT sakaa
Kisi roop meiN yeh hai tu key maiN, kisi bhes meiN yeh hooN maiN key tu!

Ab usi ka takiya zamaaney meiN, sunaa hai key marj’a-e-KHalq hai
Jo “Firaaq” tere liye phiraa, kabhi dar-ba-dar, kabhi ku-ba-kuu

,

Advertisement
· 2 Like · Jun 05, 2016 at 18:06
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Ishq e Mamnoo
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 25, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS