Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Mere liye namumkin hai par tum bhi nahi kar paao ge
Hum judaa ho jayein ge tau dil ko kya samjhaao ge

Khushi ka yeh mauqa ke tum manzil ko paa rahe ho
par yeh gham zaroor hai ke mujh se door jaa rahe ho

Dekho jaate jaate tum meri simt na dekhna
Aur na hi koi khayaal mera apne dil mein uss pal rakhna

Warna tum bhi ro do ge aur mujh ko bhi rulaao ge
Hum judaa ho jayein ge tau dil ko kya samjhaao ge

Jo pal sath bitaaye woh yaad yaqeenan aayein ge
Kabhi karein ge namm naina, aur kabhi hansayein ge

Jab yaad meri aaye gi tau tum chaand ko dekha karna
Meri nazar hai waheen kehin bas yeh socha karna

Koi bhi halaat hon aise mein tum muskuraao ge
Hum judaa ho jayein ge tau tum dil ko kya samjhaao ge

Advertisement
· 2 Like · Nov 17, 2018 at 17:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS