Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
Main toot-ta tha to chun kar sambhaal rakhti thi

Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha,
Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

Woh mairay dard ko chunti thi apni pooron say
Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi

Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi

Duain us ki balaoon ko rook laiti thin
Woh mairay chaar so hathon ki dhaal rakhti thi

Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni
Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi

Usay nadamatain mairi kahan gawara thin
Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi

Bichar kay uss say main dunya ki thokaron me hon Mohsin
Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi

Advertisement
· 1 Like · May 08, 2017 at 05:05
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Life Span.
Posted by yousuf ahmed
Posted on : May 11, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS