Poetry / Love

Ghazal Noor

Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota

Tu Bare Pyaar Say, Chao Say , Baray Maan Kay Sath

Apni Nazuk Se Kalaee Main Charhati Mujh Ko

Or Baytabi Say Fursat Kay Khizaan Lamhoon Main

Tu Kisee Soch Main Doobi Jo Ghumati Mujh Ko

Teray Hath Ki Khushboo Say Mahak Sa Jata

Jab Kabhi Mood Main Aakar Mujhay Choma Karti

Teray Hontoon Ke Hiddat Say Dehak Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu Nindon Kay Safer Per Jati

Marmareen Haath Ka Ak Takya Banaya Karti

Main Teray Kaan Say Lag Kar Kaii Baatein Karta

Teri Zulfoon Ko Teray Galon Ko Choma Karta

Jab Bhi Tu Band Quba Kholnay Lagte Jana

Apni Aankhoon Ko Teray Husan Say Khaira Karta

Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha

Main Tere Rooh Kay Gulshan Main Mehakta Rahta

Main Teray Jism Kay Aangan Main Khanakta Rahta

Kuch Nahi Tu Yahi Bay Naam Sa Bandhan Hota

Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota

Advertisement
· 1 Like · Dec 22, 2016 at 13:12
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS