Poetry / Love

Kal chodween ki raat thi, shab bhar raha charcha tera
Kuch ne kaha yeh chand hai, kuch ne kaha chehra tera

Hum bhi wahin mojood the, hum se bhi sub ne poocha
Hum huns diye hum chup rahe, manzoor tha parda tera

es sheher mein kis se milein? Hum se to choote mehfilein
Her shakhs tera naam le, her shakhs deewana tera

Kooche ko tere chor ker jogi hi ban jaein magar
Jungal tere, parbat tere, basti teri, sehra tera

Hum or rasm-e-bandagi? aashuftagi? uftadgi?
Ehsan hai kia kia tera? Ay husn-e-be parwah tera

Wo ashk jane kis liye, palkon pe aa ker tik gaye
Altaaf ki barish teri, ikraam ka darya tera

Hum per yeh sakhti ki nazar? Hum hain faqeer-e-rahguzar
Rasta kabhi roka tera? Daman kabhi thama tera?

Be dard sunani ho to chal, kia achi kehta hai ghazal
Aashiq tera, ruswa tera, shair tera, Insha tera

Advertisement
· 1 Like · Jul 09, 2017 at 20:07
Category: love
 

Latest Posts in poetry

I Love Mohammad S.A.W.W
Posted by Imran Khan
Posted on : Nov 28, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS