Poetry / Love

Ijunoon

chaaNd k saath ka_ii dard puraanay niklay
kitane Gam the jo tere Gam k bahaane niklay

fasl-e gul aa_ii phir ik baar asiiraan-e-vafaa
apne hii Khuun k dariyaa mein nahaane niklay

hijr ki choT ajab sang-shikan hotii hai
dil kii befaiz zamiinon se Khazaane niklay

umr guzarii hai shab-e-taar mein aaNkhen malate
kis ufaq se meraa Khurshiid na jaane niklay

kuu-e-qaatil mein chale jaise shahiidon kaa juluus
Khvaab yuN bhiigatii aaNkhon ko sajaane niklay

dil ne ik ii.nT se taamiir kiyaa taaj mahal
tuu ne ik baat kahii laakh fasaane niklay

dasht-e tanhaa_ii-e-hijraaN mein kharaa sochataa huN
haaye kyaa log meraa saath nibhaane niklay

mai.n ne 'Amjad' use bevaastaa dekhaa hii nahin
vo to Khushbuu mein bhii aahaT ke bahaane niklay

Advertisement
· 1 Like · Nov 28, 2018 at 07:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Big Mistake
Posted by haya jalal
Posted on : Jul 05, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS