Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Bhale dino ki baat hai….
Bhali si ek shakal thi…
Na yeh Husn-E-Taam ho…
Na dekhne main aam ho….Na yeh ke woh chale to kehkashan si guzar lage….
Magar woh saath ho to phir bhala bhala safarlage….Koi bhi rut ho us ki chhab….
Fiza ka Rang-O-Roop thi…
Woh garmiyon ki chhaon thi….
Woh sardiyon ki dhoop thi…..Na muddaton juda rahe…
Na saath Subh-o-Shaam ho….
Na Rishta-E-Wafa pe zid….
Na yeh ke Izn-E-Aam ho….Na aisi khush libasiyan…
Na sadgi gila kare…
Na itni be takallufi…
Ki aaina haya kare….Na ikhtilaat main woh ram…
Ki bad maza ho khwahishein…
Na is qadar supurdgi…..
Ki zach karein nawazishen….NA aashiqui junoon ki….
Ki zindagi azaab ho….
Na is qadar kathor pan….
Ki dosti kharab ho…..Kabhi to baat bhi khafi….
KAbhi sukoot bhi sukhan….
Kabhi to Kasht-E-Zafraan…..
Kabhi to udasiyon ka ban…..Suna hai ek umar hai…
Muamilaat-E-Dil ki bhi…
Visaal-E-Jaanfiza to kya….
Firaaq-E-jaangusal ki bhi….

So ek roz kya hua….
Wafa pe behes chidh gayi….
MAin ishq ko amar kahoon…
Woh meri zid se chid gayi….Main ishq ka aseer tha…
Woh ishq ko qafas kahe…..
Ke umar bhar ka saath ho….
Woh Bad-Taraz-Hawas kahe…Shajar hijr nahi ki hum….
Hamesha pa ba gul rahe….
Na door hain ke rasiyan…
Galay main mustaqil rahein….Muhabbaton ki vusatain….
Hamare Dast-O-Pa main hain….
Bas ek dar se nisbatein…
Sagaan-E-Bawafa main hai….Main koi Painting Nahi
Ki ek frame main rahoon…
Wahi jo mann ka meet ho
Ussi ke prem main rahoon…Tumhari soch jo bhi ho….
Main is mizaaj ki nahi….
Mujhe wafa se bair hai….
Yeh baat aaj ki nahi…NA uska mujh pe maan tha….
Na mujhko us pe zaam hi…..
Jo ahad hi koi na huyi….
Toh kya Gham-E-Shikastgi….So apna apna rasta….
Hansi Khushi Badal Dia
Woh apni raah chal padi…
Main apni raah chal diya…BHali si ek shakal thi…
Bhali si uski dosti….
Ab us ki yaad raat din…
Nahi, magar “Kabhi-Kabhi”

Advertisement
· 1 Like · Feb 20, 2018 at 14:02
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS