Poetry / Love

Muzammil Shahzad


Tum yaad Ho To Naqsh Ho Merey HawaaS par
Tum Ashk Ho To Merey Dukhon Ka ILaaj Ho

Tum Khuwab Ho To Meri Aankhon Main Ho kahin
Tum Wehem Ho To Mujh Ko Haqeeqat Say Kia Gharaz

Tum Bayes-e-Safar Ho, Huner Ki URaan Ho
Tum Neend Ho To So K Guzarein Gay yeh Hayaat

Tum Husn Ho To Merey Takhayyul Ki Jaan Ho
Tum Raat Ho To Mujh Ko Nahin Subah Ki Talab

Tum Noor Bun k DiL Main Samaey Ho Aaj kal
Tum Khaak Ho To Khaak Nasheenon Ki Ho Talash

Tum Dard Ho To Rooh Peh Chhaye Ho Aaj Kal
Tum Dasht Ho To Main Bhi Musafir Hoon Dasht ki

Tum Chaand Ho To Talkh Andheron Ki Fiker Kiya
Tum Bay Neyaz Ho To Zamanay Say Ho Alag

Tum Rung Ho To Phir yeh Baharon ka Zikr Kiya
Tum Bay Samar Ruton Main, Baharon Ki Ho Umeed

Tum RahGuzar-e-Shauq Main Jazba Junoon Ka Ho
Tum Arzoo Ho, Ehl -e- Tamanna Ki Ho Khalish

Tum Rut-Jagon Ki BheeR Main Lamha Sakoon Ka Ho
Tum Bewafa Ruton Main Hawala Ho IshQ Ka

Tum Baybasi Ho Phir Bhi Muheet-e-Hawaas Ho
Tum Ik Kiran Ho Noor-e-Azal Main Dhali Hui

Tum Taazgi Ho, Shabnami Phoolon Ki Aass Ho
Tum Gehrey Paniyon Main Chupay Motiyon ka Lams

Tum Maut K Safar Main Nishan -e- Hayat Ho
Tum Meri Chashm-e-Num K Sitaron Ki Kehkashaan

Tum Husn-e-BayMissal, Meri Kayenaat Ho
Tum Jab Say Ho Gaey Ho Meri Dastras Say Dour

Main Jee rahi Hoon Kion K Zaroori Hay Zindagi
Saanson K Bojh Ko Bhi uThaya hay Rooh Nay

Lekin Terey Bagheir...
Adhoori hay Zindagi

Advertisement
· 1 Like · Oct 03, 2016 at 14:10
Category: love
 

Latest Posts in poetry

A New Hope
Posted by Abdul Khaliq
Posted on : May 21, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS