Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Maine kaha ke sheher ke haq mai dua karo
Us ne kaha ke baat ghalat mat kahaa karo

Maine kaha ke raat se bijli bhi band hai
Us ne kaha ke haath se pankha jhala karo

Maine kaha ke sheher mai paani ka qahat hai
Us ne kaha ke Pepsi Cola piya karo

Maine kaha ke car daketon ne cheen lee
Us ne kaha ke achha hai paidal chala karo

Maine kaha ke kaam hai na koi kaarobaar
Us ne kaha ke shayeri per iktifa karo

Maine kaha ke sau ki bhi ginti nahee hai yaad
Us ne kaha ke raat ko tare gina karo

Maine kaha ke hai mujhe kursi ki aarzoo
Us ne kaha ke Aayet ul Kursi padha karo

Maine kaha ghazal padhi jati nahee sahi
Us ne kaha ke pehle rehearsal kiya karo

Maine kaha ke kaise kahi jaati hai ghazal
Us ne kaha ke meri ghazal gaa diya karo

Har baat per jo kehta raha mai "baja" "baja"
Us ne kaha ke yun hi musalsal baja karo

Advertisement
· 1 Like · Nov 08, 2015 at 12:11
Category: humorous
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS