Poetry / General
Muzammil Shahzad

Zehnon Mein Khayaal Jal Rahe Hain
Sochon Ke Alaau Se Lage Hain
Duniya Ki Girift Mein Hain Saaye
Ham Apna Vujood Dhundhate Hain
Ab Bhook Se Koi Kya Marega
Mandii Mein Zameer Bik Rahe Hain
Maazi Mein To Sirf Dil Dukhate The
Is Daur Mein Zehan Bhi Dukhtay Hain
Sir Kataate The Kabhi Shayan e Shaan
Ab Log Zubaan Kaatate Hain
Ham Kaise Chhurraayen Shab Se Daaman
Din Nikala To Saaye Chal Parre Hai.N
Laashon Ke Hujuum Mein Bhi Hans Dein
Ab Aise Bhii Hausale Kisey Hain
Sochon Ke Alaau Se Lage Hain
Duniya Ki Girift Mein Hain Saaye
Ham Apna Vujood Dhundhate Hain
Ab Bhook Se Koi Kya Marega
Mandii Mein Zameer Bik Rahe Hain
Maazi Mein To Sirf Dil Dukhate The
Is Daur Mein Zehan Bhi Dukhtay Hain
Sir Kataate The Kabhi Shayan e Shaan
Ab Log Zubaan Kaatate Hain
Ham Kaise Chhurraayen Shab Se Daaman
Din Nikala To Saaye Chal Parre Hai.N
Laashon Ke Hujuum Mein Bhi Hans Dein
Ab Aise Bhii Hausale Kisey Hain
Advertisement
·
1 Like ·
Jul 18, 2015 at 17:07
Category: general
Latest Posts in poetry
- Sharam aayi humen is shiddat se,Posted by : on 205 Days Ago
- Dil se teri yaad na jaye to main kya karuPosted by : on 207 Days Ago
- koi tumhe bhool jayePosted by : on 214 Days Ago
- nadaan qismatPosted by : on 216 Days Ago
- Aaj zindagi se mulakaat ho gayiPosted by : on 217 Days Ago
- Tarasti nazron ki pyaas ho tumPosted by : on 219 Days Ago
- Dost Banati NahiPosted by : on 229 Days Ago
- Nafrat Ka ZaharPosted by : on 232 Days Ago
- Kuch door hamare saath chaloPosted by : on 235 Days Ago
- Aap Se Kabhi Mil Na Paaye HuMPosted by : rumana shahzad on 235 Days Ago
New Pages at Social Wall
New Profiles at Social Wall
Connect with us
Facebook
Twitter
Google +
RSS