Poetry / General

Muzammil Shahzad


Yoon Dost Saray Apnay Apnay Rastay Badal Gaye
Kuch Peechay Ruk Gaye Tu Kuch Aagay Nikal Gaye


Halaat Ke Dhoop Zara See Dair Ko Taiz Kiya Hoi
Jitnay Wafa Kay Payker Thay Saaray Pighal Gaye


Wadoon Ke Teray Ratoon Say Bahir Na Ja Saka
Iraadon Ka Din Nikalnay Say Pehlay He Dhal Gaya


Wafa'on Kay Rang Shabnam Kay Qatron Nay Dho Diya
Mohabbat Kay Phool Jazboon Ke Shiddat Say Jal Gaye


Taano Kay Teer Dunya Ki Kamaanoon Peh Jab Charhey
Sabr Kay Daman Hathoon Say Yak Dam Phisal Gaye


Aankhay Khuli Tu Khuwaboon Ko Bura Laga Mager
Kuch Dair Wo Reh Kar Muztarib Khud He Behal Gaye


Pehlay Pehal Wo Ajeeb Lagay Badlay Howay Chehray
Phir Yoon Howa Keh Waqt Kay Saath Ham Bhi Sanbhal Gay

Advertisement
· 1 Like · Aug 06, 2016 at 21:08
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Horse and Dog
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 15, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS