Poetry / General

Muzammil Shahzad

Khaak Par Khaak Ki Dheriyaan Reh Gaiyn ....
Admi Uth Geay Naikiyaan Reh Gaiyn ....
Kis Ki Taleem Ka Akhri Saal Tha ....
Chooriyan Bik Gaiyn Baliyaan Reh Gaiyn ....
Ishaq Ik Rup Tha Husan Ki Dhoop Ka ....
Yaad Kio Dhoop Ki Sakhtiyaan Reh Gaiyn ....
Khun Main Gul Gaiyn Sanwali Qurbatain ....
Tan Main Tapti Hoi Hadiyaan Reh Gaiyn ....
Dard Angur Ki Bail Thay , Phal Gaey ....
Gum Kashun K Liay Talkhiyaan Reh Gaiyn ....
Ersa-e-Fasq Main , Qismat-e-Ishaq Main ....
Hikmat Ameez Paspaiyaan Reh Gaiyn ....
Qum qum Ki tarha Qehqahay Jal Bhujay ....
Maiz Par Chaey Ki Piyaliyaan Reh Gaiyn ....
Is Bulandi Pe Hum Ney Perao Kiya ....
Jis Ke Agay Faqt Pastiyaan Reh Gaiyn ....
Husan Ke Hath Se Aeyna Gir Para ....
Fersh-e-Pandaar Par Kirchiyaan Reh Gaiyn ....
Hum Ney Kagaz Ko Bhi Aeyna Ker Diya ....
Lakin Apni Siyah Bakhtiyaan Reh Gaiyn ....

Advertisement
· 1 Like · Nov 06, 2015 at 15:11
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS