Poetry / General

Muzammil Shahzad

dil mujh say teraa haaye sitamgar nahi milta
mar jaoon gala kaat kay khanjar nahi milta

do din bhi kisi say woh barabar nahi milta
yeh aur qiyamat hai k mil kar nahi milta

ya tark-e-mulaqaat ki kho ho gayi in ko
ya yeh hai k mujh say koi behtar nahi milta

ay kash hum ab thokrain kha kar he sambhalte
sar militay hain is koochy mein pathar nahi milta

zahid ne udaaye tou sifaat malkooti
hazrat ka firshton say abhi par nahi milta

inkaar say umeed hai, iqraar say hai yaas
jab wada kya phir woh muqarrar nahi milta

kya puchhte ho bazm mein kya dhoundh rahay ho
lo saaf bata dun dil-e-muztar nahi milta

tasweer tou paida hai musawir nahi paida
ainaa tou milta hai sikander nahi milta

har aablay mein khaar hai har zakhm mein
milnay say meri jaan koi kiyon kar nahi milta

kiyon kar nah marain mout pe bemaar muhabbat
aisa yeh maza hai k mukarrar nahi milta

kya eid kay din bhi ramzan hai k jo saqi
mujh ko nahi milta koi saghar nahi milta

mehfil mein tari eid kay din mairay galay say
woh kon sa fitnah hai jo uth kar nahi milta

parwanay ka bhi waqt hai bulbul ka bhi mousam
marta hon jo mashooq gharri bhar nahi milta

ya rab marey ashqon say na taseer juda ho
is qaafley say koi bicher kar nahi milta

har waqt parhay jatay hain kiyon daagh kay ashaar
kya tum ko koi aur sukhan war nahi milta

Advertisement
· 4 Like · Jan 18, 2018 at 07:01
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Soniyan hussian and Priyanka chopra
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 24, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS