Poetry / General

Muzammil Shahzad

Hum Apnay Ap Pe Hi Zahir, Kabhi Dil Ka Haal Nahi Kartay,
Chup Rehtay Hain, Dukh Sehtay Hain, Koi Ranj-o-Malal Nahi Kartay,

Hum Jo Kuch Hain, Jaise Hain, Waise Hi Dikhayi Detay Hain,
Chehre Pe Bhabhoot Nahi Maltay, Kabhi Kalay Baal Nahi Kartay,

Hum Haar Gaye Tum Jeet Gaye, Hum Ne Khoya Tum Ne Paya,
In Jhooti Sachi Baaton Ka, Hum Koi Khayal Nahi Kartay,

Tere Deewanay Ho Jatay Hain, Kahin Sahraon Mein Kho Jatay Hain,
Deewar-o-Dar Mein Qaid Humein Agar Ahal-o-Ayaal Nahi Kartay,

Teri Marzi Par Hum Raazi Hain, Jo Tu Chahay Woh Hum Chahein,
Hum Hijr Ki Fiker Nahi Kartay, Hum Zikar-e-Wisaal Nahi Kartay,

Humein Tere Siwa Is Duniyan Mein, Kissi Aur Se Kya Lena Dena,
Hum Sab Ko Jawab Nahi Detay, Hum Se Sawal Nahi Kartay,

Ghazalon Mein Humari Bolta Hai, Wohi kaanon Mein Ras Gholta Hai,
Wahi Band Kivaarh Kholta Hai, Hum Koi Kamal Nahi Kartay.......!!!!!

Advertisement
· 1 Like · Feb 21, 2016 at 03:02
Category: general
 

Latest Posts in poetry

The Hindu - Classroom
Posted by Interesting Videos
Posted on : Jun 13, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS